Posts tagged: Sad Poems 2009

Ashq Aankhon Mein Hi To Aate Hain

Jisse Ho Pyaar Be Intehaa Aksar
Us Ka Hi Dil Bahut Dukhaate Hain
Yeh Haqiqat Hai Maan Lo Iss Ko
Ashq Aankhon Mein Hi To Aate Hain

Kitnaa Mushkil Hai Baat Woh Kehnaa
Jis Ka Ehsaas Itnaa Aasaan Hai
Tujh Se Hai Ishq Khush Kismati Meri
Yeh Mere Sar Pe Aasamaan Saa Hai

Benazir Noor Apani Chaahat Hai
Mujh Ko Aabaad Kar Rahi Hai Yeh
Yehi Taaqat Hai Yehi Kamzori
Mujh Ko Aazaad Kar Gayi Hai Yeh

Koi Taahbir Ki Naa Koshish Ki
Khud Ba Khud Chha Gayi Thi Shabanam Si
Ek Sangat Hai, Ek Bandish Hai
Dosti Apani Hai Tarnnum Si

Paanch Das Bees Saal Guzarein To
Saath Aise Hi Barqaraar Rahe
Apane Dukh Dard Apane Darr Baantein
Ho Bharosaa Ke Apanaa Pyaar Badhe

Muskuraahat To Baantte Hain Sab
Gham Mein Bas Dost Paas Aate Hain
Yeh Haqiqat Hai Maan Lo Iss Ko
Ashq Aankhon Mein Hi To Aate Hain


Ab kya likhen

Ab kya likhen kaghaz par,
Ab likhne ko kiya baqi hai,
Ik dil tha woh tot gaya,
Ab totne ko kiya baqi hai,
Ik shakhs ko ham ne chaha tha,
Ik rait pe naqsh banaya tha,
Woh rait to kab ki bikhar gai,
Woh naqsh kahan ab baqi hai,
Ham jin ko apni nazmon ka,
Unwan banaya karte they,
Lafzon ka bana k taj mehal,
Kaghaz par sajaya karte they,
Woh ham ko akela chor gaye,
Sab rishton se monh mor gaye,
Ab raste sare soney hain,
Woh pyar kahan ab baqi hai,
Ab kiya likhen ham kaghaz par,
Ab likhne ko kiya baqi hai….