Posts tagged: Nature Poems and Poetry

CHup kar so jaa

CHup kar so jaa, hawaa garam hai
Chup bhii ho jaa, hawaa garam hai

Daag diyaa, chal bhalaa kiyaa, ab
JhaTpat dho jaa, hawaa garam hai

Khud mein hii khoye sab, too bhii
Khud mein kho jaa, hawaa garam hai

Garm ret par bhaTak na naahak
Upvan ko jaa, hawaa garam hai

Aaj nahin to, kal failegii
THandak bo jaa, hawaa garam hai