Posts tagged: latest Sad Poems

ASHIQ YA DEEWANA

Phir wohi mausam aur wohi barsaat
Mai aaj bhi har pal karta hu tumko yaad
Is baarish ki har ek boond me tumhi nazar aati ho
Bhigati ho kyu itna tadpati ho

Ab mujhko ye mausam lagta na suhana
tu shama hai, jalta mai parwana
Judai bardasht nahi teri ab nikal jayegi jaan
Aana mujhse milne, tumhe pata hoga kabristan

Zamane ne rulaya hai ab royega zamana
Meri chita ki raakh se likhna ye fasana
Ki tha koi jo khak hua ishq me
Koi ASHIQ kehta tha to koi DEEWANA