Tumhari is ada ka kya jawab du
Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi accha sa phool hota to mali se mangvata,
jo khud gulab hai usko kya gulab du…
Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi accha sa phool hota to mali se mangvata,
jo khud gulab hai usko kya gulab du…
Mohabbat mujhe thi usi se..Sanam.
Yadaon me uski yeh Dil tadpta raha ..
Maut bhi meri Chahat ko rok na saki..
Kabr me bhi yeh Dil Dhadkta raha.
Ki brahmar koi kumudni par machal baitha to hangama
hamaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama
abhi tak doob kar sunte the sab kissa mauhabbat ka
mein kisse ko hakikat mein badal baitha to hungaama
samandar peer ka andar hai lekin ro nahin sakta
ye aasoon pyaar ka moti hai isko kho nahin sakta
meri chahaht ko apna tu bana lena magar sun le
jo mera ho nahin paaya wo tera ho nahin sakta
Mauhabbat ek ehsasson ki pawan si kahaani hai
kabhi kabira deewana tha, kabhi meera diwani thi
yahaan sab log kehte hain meri aankhon mein aasoon hain
jo tu samjhe to moti hai, naa samjhe to paani hai