Na Hue kabhi woh apnay

Do pal kay haseen khwab,
Do dil kay fasanay,
Yaad aatay hain ab bhi,
Woh guzray zamanay.

Saanson ki mehak unki,
Mohabbat say kahi har baat,
Mashook badi zalim thee,
Badi qaatil hai unki yaad.

Bhoolay bichaday woh waaday,
Kachay dhaagon si woh kasmein,
Do pal kay thay saaray,
Na Hue kabhi woh apnay,
Yaad aatay hain ab bhi,
Woh guzray zamanay,
Do pal kay haseen khwab,
Do dil kay fasanay.


No Comments

No comments yet.

RSS feed for comments on this post. TrackBack URI

Leave a comment