tanhaai nazar aati hai
Jidhar bhi dekhtaa hoon tanhaai nazar aati hai
aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai
main kaise karun gilaa dil ke zakhmon se huzoor
aansu chhalakte hain meri soorat nikhar jaati hai
tod diye hain maine apne ghar ke saare aayine
meri rooh mera hi chehraa dekh ke darr jaati hai
ro ke halke ho lete hain zara se teri yaad mein…
zara si na-muraadon ki tabiyaat sudhar jaati hai
asar karti yakeenan gar choo jaati unke dil ko lekin
afsos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai
maikade mein jab bhi zikr aata hai tere naam ka
shaam ki pee hui sar-e-shaam hi utar jaati hai